amal karna ka kanoon
chapter no 1
As salamu alaliqum
main apko batata ho ka amal karna se pehla kya kya zaroore bateen hai jin ko karna chaheya amel ka liya
1 her cheez ki ake tarteeb hote hai jis ko ada karna se faida hota hai abb log faida samajh kar karte hai or akhir ko ba tarkibi or bah onwani se sar asar nooksan uthata hai khas toor per jo log amal perta hai or taveeez likhta hai khana theek se nahi berta or ba tarkibe ka sath berta hai to bahish nadani ka moshakat othani perte hai jab faida he nahi hota to phir amal ko badnam karte hai is liya tarteeb bohat zaroore hai
2 kaboliyat dua or amal main bare tasir hai magar halal pasa ki kamahe or rojo yani dehan se amal parna or apna matlab ko dehan main rakhna amal perna ka doran yeah zaroore hai ager is per amal nahi kiya to phir kuch faida nahi hoga
3
jo be amal kareen to khana un cheezo ka chorde jesa ghost machli anda kisi janwer ka or behtar hai ka bang payaz or lehsan se parhez kareen in cheezo ka perhaz karna se dua main asar peda ho jata hai or dua jaldy kabool hote hai
4 amliyat ka parna main tayon wauat zaroore hai
example ager kohi shaks kisi amal ko jalali wa jamali ka toor per par rahahai or zawal se ta ikhtatam waquat mokara ka altazam zaroore rakhe iktalaf waquat se nooksan hai
5 jis time ko pehla amal para tha ushe time per amal kiya kare daily for example jis ghar main amal kiya or jis janamaz per amal kiya or jis jaga per janamaz bachahe ho agla din be wohe jaga wohe janamaz per amal kareen
6 shoro karna amal ka start mahina ka 10 din ka under behtar hota hai bajahe ka mahina ka akhire dino main
7 jab amal karna betha to mazboot hisar karleen apna taka kohi roohani cheez nooksan na poucha saka apka q k hisar bohat zaroore hai or yeah rajat se bachata hai
8 jo isam ya dua pareen agar sir isam dua or hurf sir isam parna wala ka atishe ho to morad jaldy pore hote hai hurf ahtashe or abi main larahe hai , hurf ahtashe or badi main doste hai , hurf abi or ahtashe main larahe hai , hurf khaki or badi main dosti hai .
9 jab kisi amal ki zakat da choka ho tu phir us amal ko daily 3 , 4 ya 8 dafa para kara kareen taka amal kabo main rahe
10
hazoor pak ake kafir se farmate hai ka is daraket se keh ka tujh ko Allah ka rasool bolate hai wo ja kar kehta hai or daraket zameen chirta howa sarkar ki bargah main hazir ho kar salam garaz karta hai phir hazoor wapse ka hukum farmate hai to chalay jata hai wo daraket yeah nahi deakta ka kehna wala kon hai muslim hai ya kafir hai ajkal app log karooro muslims hai kisi daraket ka pass ja kar ake 2 bar nahi belka 40 days ake paho per kharae rehkar in alfaz ko mosalsal raat din raate rahe kohi nateja farham nahi hoga kafir ny ake bar kaha or daraket na is hukum per amal kiya bat yeah hai ka hukum or ijazat zaroore hai
11 sab se pehla apna iman or akeda belkul quran ka motabik ho agar kuch khamiya hai to is ko door kareen
12 baat kam kareen kam sohe khana be kam khahe . jhoot se belkul door rahe kio ka jhoot bool na se zaban ki taseer chalay jate hai or phir hum log ushe zaban se amal parte hai jab zaban main he taseer nahi hoge to phir amal kesa kam kareen ga is liya jhoot , galiya , gana wegara se door rahe taka zaban gonaho se bachi rahe or zaban se jo dua ya amal nikla wo foron kabool ho
13 mazhab ahlay sunnat ho yani nabi kareen salal laho allai wasalm ko manay wala
14 kohi be amal najahiz kam karna ka liya na kareen q k yeah rehmani amal ka elim hai jado sifly main najahis kam kiya jate hai hamara deen nake kam karna ka hukum deta hai so hum is rehmani elim se bala kesa najahis kam le sakta hai jab k hamara deen naki ki taraf bolata hai or borahe se rookta hai ager najahis kam ki niyat se amal kareen ga to shahded nooksan uthahe ga or rajat hona ka dar hai q k mokel ahse shaks ko saza de deta hai jo rehmani amal se galat kam lay for example arshad ko yeah elim ata hai arshad na apni collage main kisi larki ko deakha or us ko passand ah gui abb wo us larki se sex karna ka amal karta hai yani wo is larki se zena karna chata hai or is kam ko anjam dena ka liya wo rehmani elim se kam leta hai to ahsa shahks ko rajat hona ka khatra hai ya to ahsa shaks ko mokel ushe waquat marde ga ya phir mokel is ko pagal kardega wo galio main devano ki tarah phira ga or rajat ka asar itni jaldy jata be nahi hai kohi bohat he bara amel kamel is ka asar khatam kar sakta hai agar galat kam na kareen to mokel kabe be kisi ko nooksan nahi pouchata belka kush hote hai ahsa shaks se agar arshad bajahe sex karna ka larki se shahde karna ka amal kareen to mokel kush hoga or larki ko us ka ishq main dewana karde ga or larki ko us ka kadmo ma la kar dal de ga
15 amal karna ka liya namaz ba jamat bohat zaroore hai is ka khas khail rakhe or agar namaz kuch kaza ho gahe hai to pehla kaza umre pore kareen us ka baad kohi amal kareen
16 takabor se door rahe majid rehmat ullah farmate hai ka takabor se kohi khaslat barter nahi ka kisi gonah se insan shaytan k baraber nahi hote jab takabor kiya iblis na to is ka fal u howa
quran main Allah pak farmate hai ba shak Allah motakabiro ko dost nahi rakhta or kasahf dostoo per inayat or abido ka liya amanat hai so bala takabor karna wal aka amal kesa kamyab ho sakta hai is liya takabor se bache
17 hasad se door rahe hazoor pak na farmaya hasad se perhez karte raho q k hasad nakio ko is tarah kha jata hai jis tarah agg lakre ya ghas ko kha jate hai
18 halal rizq ka khas khail rakhe q k ager insan ki kamahe haram ho gee to phir us ka amal perna ka be kuch faida nahi hoga wo amal per kar apana waquat khod barbad kareen ga haram ki kamahe ahse hai jesa ka ghu khana jo shaks ghu khahe ga so goya phir us ka amal kesa kam kareen ga
19 log amal karte hai laken un ka dil main ake shak hota hai ka pata nahi yeah amal kam kare ga ya nahi is se mujha kuch faida hoga be ya nahi kya kalam pak main tasir nahi ? laken zaroorate hai tasir apna under peda karna ki sahaba ikram or agar kohi dua kisi kam ka liya perte to foran is ka asar hota tha ajj hum be wohe dua,s or qurani aiyat perte hai magar be sood ahsa q ? hum log chila karte hai tab be amal ka kam nahi karta sahaba ikram or buzurg_e_deen agar kohi dua bagar kisi zakat or chila ka johe perta to foron asar hota , q k wo sacha momin tha in ka under sachaeh wa pakizge wo sirf khuda per barosa rakhte tha or ibadat elahe wa atat in ki zeendage thi phir jo khod ko golam mustafa salal laho ka took apni gardenmain dal kar apni zeendage ko ibadat wa atat rab_E_karim k liya wakf kar deya ho is per her kohi meharban kio na ho or tamam makhlook khuda is ki zair nigra kio na ho abb jesa switch daba na se bijili on ho jate hai kio ka is main karant pehla se he doorta hota hai laken agar hum tamam connection kar ka meter ghar be lagaleen magar is ka talook bijili ghar ka current store se na ho ya kahe se connection sahe na jora ho tu is se bijili kesa jal sakhte hai lakh button dabate rahe bijili on nahi hoge lahaza her muslim ka liya sab se pehla sahe mahino main saleh banna awal faraz hai phir amal parna ka liya is tarah jimla sharait pore karna be zaroore hai phir deakhe ka amal kesa zabardast asar deakhata hai
20 badbu dar cheezo ka khana se bacha example jesa kohi (hoka,bere, niswar,segrate) peta hai segrate ki badu se ake normal insan ko itni takleef hote hai phir to app amal kar rahe hai to zara soche ka mokelo ko kitni takleef ho gee jab mokilo ko takleef hoge us badbu se to wo app ka mu ki baadbu se door baga gay or apka bolana per be nahi ahe ga or nahe apka hukum ki takmil kareen gay . kachi payaz mat kahe kio ka hazoor pak na khod farmaya hai ka jab masjid main aiya karo to kachi pyaz mat kha kar aiya karo ka is se malaheka ko takleef hote hai to app khod soche ka agar app payaz kha kar amal kareen ga to mokilo ko kitni takleef ho gee .
21 nasha karna wali cheezo se door sharab, pan , charas, afim , mava, gotka, mainpore is tarah ki cheze nasha karna main ate hai is se door rahe
22 kohi be amal kareen to pehla Allah tala se tamam gonaho ki mafe manga achi tarah roh roh kar phir us ka baad amal kareen taka gonaho ka jo app per gobar hai wo hat jahe or amal ko kamyab hona main daire na ho
23 kohi be amal kareen jo amal para jahe ya likha jahe us ki agar kamyabi nazar na ahe to us ko chore na yani tarak na kareen ka yeah amal kam nahi kar raha is ki example deta ho apko yaqeen hai ka zameen ka nicha pani hai or batanai wala apna tajarba ki binah per batata hai ka 60 gaz khodo ga to pani nikal ahe ga khodna wala 60 gaz zameen khodta hai magar pani nahe nikalta to wo mayous nahi hota belka khodta he jata hai or akhir kar pani nikal ata hai to musalman ko Allah ka kalam per pora yaqeen hona chaheya .
24 her waquat pak rahe or roz taza ghusal kareen
25 khusboo zaroor lagahe khusboo be etar lagahe perfume nahi lagahe kio ka us main alcohal mila hota hai wo jahiz nahi
26 jab amal kar rahe ho or kisi se baat karna zaroore ho to phir us se baat nakareen jo be baat ho likh kar de or amal perta rahe
27 jab amal kar rahe ho ya taveez likh rahe ho to us jaga napak admi or orate dono na ahe kio ka mokel paki ko passand karte hai
28 taveez likhta waquat ya amal perta waquat pak ho q k napaki main jado sifly ka amal kiya jate hai or rehmani elim main her nakash belka her huruf ka tabah mokel hote hai jo halat napaki main amel ki atat nahi karte
29 jab amal pareen to is baat ka khail rakhe ka app ko apna amal ki awaz apana kan tak sonahe de q k jab amel amal perta hai to mokel amel ka pass ah kar kara ho jate hai kam se kam itni awaz to ho ka mokel ko samajh ah jahe ka app us se kon sa kam karvana chata hai taka mokel foron kam kareen
30 jab taveez likh na ka irada ho tu pehla kagaz ko achi tarah deak la ka pehla se white kagaz per kohi hurf to nahi bana howa kagaz ko achi tarah dhoop main deak lay ka kohi lines wegara ya hurf to nahi bana howa. agar apna ahse mu utha kar taveez likh deya kagaz per or us ka under pehla se hurf ya kuch line bani howi tu phir taveez galat ho jahe ga kuch se kuch kam kare ga pata chala apna deya kis kam ka liya tha or us taveez na asar kuch or deakhaya
31 jab amal karna ka irada ho or ghar main devar per tasveer lage ho to wo hata de yaha tak ka ghar main kuta ho to us ko be hata de q k jin ghar main tasveer or kuta ho waha per farishta nahi jata or tv be band karde jab amal karna laga kio ka tv be tasveer ka he kam deta hai is liya ager in cheezo ko perhez nahi kiya to phir mokel amal karna per apka ghar main nahi ahe gay or nahe apka amal kamyab hoga
32 kohi be amal karna se pehla hurf taji ki zakat zaroore de yeah pehli sere hai agar ishe ko faramosh kardeya to her cheez main nakam ho jahe ga hurf taji zakat se bachate hai or jo shaks hurf taji ki zakat nikalta hai us shaks ka amal goli ki tarah kam karta hai or tamam hurf ka mokel us shaks ki madat karte hai
33 bagar simt bah lahaz hurf ikhtayaar kiya howa na to amel ko faida ho ga or nahe amal main taseer peda ho gee amal main is liya simt ka khail rakhe ka kis rukh ko mu kar ka amal perna hai
34 amel ko elim najoom be ana chaheya itna to ana chaheya ka wo amal perna ka waquat nikal sake ka kaun sa waquat amel ka liya theek rahe ga her kam karna ka ake waquat hota hai example jesa dawahe khana ka ake waquat hota hai sobah dophar raat is ko ishe time se khahe ga to yeah faida de gee laken ager kohi davahe ade raat ko uth kar khahe to bajeh faida ka us ko nooksan de gee is liya amliyate line main waquat nikal amel ko ana chaheya amel ko burj maloom hona chaheya in ka setare or in ka kis se kesa nafrate hai yeah sab ana chaheya yeah bohat aham hai jis ko yeah cheez nikal na ah gui us ka amal kabe be khata nahi jahe ga hamesha teer nishana per laga ga
35 amel jab amal kareen to us ko bakhorate be jalana chaheya or agarbati be yeah zaroore hai her setare ka alag bakhore hote hai bakhore mean khusboo
36 amal wa amliyat main setaro ki gheza ka be khail rakh na chaheya is ka matlab yeah nahi ka yeah setare khana khate hai her setare ka sath mokel hota hai jo Allah tala ki tasbe karta hai is liya in mokel ki be setaro se bare gahre wabastage hai yeah ake dosare se allaida nahi ho sakta bus jis setare ka time main amal pareen to is setare ka hisab se sadka deen
37 amel ko burj ka bare main maloom hona chaheya ka in se kya kya faida hasil hote hia
38 amel ko setaro ki doste or dushmani maloom honi chaheya
39 amel ko setaro ki saat deak kar amal karna chaheya amel ko rojal gayab deak kar amal karna chaheya ka ager yeah samna ho ga to amel ko nooksan ho ga
40 amel ko intahe toor per nidar hona chaheya or doran amal kuch khuf delana wala wakiyat ro noma ho ga wo belkul farze ho ga in ki kohi asliyat nahi ho ge
41 jaga pak ho saaf sotra mohol ho tanhahe ho yani jaha per logo ka ana jana or amdorafat na ho taka amal kareen to amel ko pata chalta jahe ka us ka amal kitna asar deakha raha hai
42 amel ko chatora be nahi hona chaheya is liya ka agar kohi ahsa amal kar raha hai jis main perhaz jalali wa jamali karna par raha hai us ko tu wo nahi kar pahe ga or phir rajat hona ka imkan hai
43 amel ko kaser al ebadat hona chaheya taka khuf khuda dil main ho
44 bawajood elim rakhna ka amel ko intakami jazbat se door rehna chaheya ka amel apna elim se kisi ko nooksan na pouchahe
45 amel jab amal start kare or iktatam tak hambistare na kareen
46 amel ka ghar main se jo orate napak ho jahe us ka hath ki kohi be cheez paki howi na kahe or na lay khod apna liya pakahe jab ahse sorate hall ho
47 faltu logo main uthana beth na band karde chichore logo main khas kar jo zara zara se baat per gali nikalte hai or boore boore or khuli khuli baat karte hai behaya he ki
48 koshes kareen ka amal karte waquat kohi naga na ho ager naga ho gahe to waha se otna din ki apki mehnat zaya ho jahe gee
49 bagar hisar ka kohi be amal na kareen hisar ake ahsa folade kilah hai jis ka under kohi taquat bagar hasool ijazat apka dakhel nahi ho sakte
50 makan ki chat per beth kar amal khowani na kareen ka is se sewahe nooksan ka faida na hoga or wo nooksan kisi be waquat moot ka sabab ban sakta hai ager app makam ki chat per beth kar amal kareen ga to direct cheez hamla kareen gee or hosakta hai wo cheeze jan be lay lay
51 amal karte waquat jo be mamlat ho apka sath or jo manazir app deakhe wo sirf apna ustad ko batahe baki kisi or ko kuch na batahe ager apna sirf yeah bata deya ka main yeah wala amal karta ho kisi or shaks ko to phir apka amal apka hath se nikal gaya or phir ahinda amal kam nahi kare ga wo
52 abjad se itni wakfiyat ho ka ism, isma aiyat or abarate ko matloba adat nikal sake. abjad zabani yaad ho or alim hidnse main khoob dakhel ho
53 burj wa kawakib ka itna elim zaroor ata ho ka amal perna ka time khod nikal sake yani burj ki khaseyate or talah , kawakib ka tolo , wa gorob , sharaf , haboot , rajat , istakamat , urooj wa zawal ka elim hona chaheya
54 sath ka elim se wakif ho taka saad wa nahis satho ko samajh kar amal shoro kareen is se mehnat zaya nahi hotee
55 mokilat akhaz kar sakta ho
in tamam cheezo ki detail next chapters main ha
Amel Soname Contact
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
amel soname
amel_soname@yahoo.com